Yeh Mehloon,Yeh Takhto,Yeh Taajon Ki Duniya,
Yeh Insaan Key Dushman Samaajon Ki Duniya,
Yeh Daulat Key Bhookey Riwazon Ki Duniya,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai
Har Eik Jism Ghayal,Har Eik Rooh Pyaasi,
Nigahoon Mein Uljhan,Diloon Mein Udaasi,
Yeh Duniya Hai Ya Aalam-e-Badhawasi,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai
Yahaan Eik Khiloona Hai Insaan Ki Hasti,
Yeh Basti Hai Murda Paraston Ki Basti,
Yahaan To Jeevan Se Hai Maut Sasti,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai
Jawaani Bhatakti Hai Badkaar Ban Kar,
Jawaan Jism Sajtey Hein Bazaar Ban Kar,
Yahaan Pyaar Hota Hai Beopaar Ban Kar,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai
Yeh Duniya Jahaan Aadmi Kuch Nahi Hai,
Wafa Kuch Nahi,Doosti Kuch Nahi Hai,
Yahaan Pyaar Ki Qadr Hi Kuch Nahi Hai,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai
Jala Du Isey,Phoonk Daloo Yeh Duniya.
Meray Saamney Sey Hata Loo Yeh Duniya,
Tumhari Hai Tum Hi Sanmbhaloo Yeh Duniya,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai
Thursday, November 19, 2009
Subscribe to:
Posts (Atom)